koi ye kaise bataye ki wo tanaha kyun hai...
wo jo apna tha wahi aur kisi ka kyun hai.....
yahi duniya hai to fir aisi ye duniya kyun hi..
yahi hota hai to aakhir yahi hota kyun hai......
ik jara haath badhade to pakadlein daaman...
uske seene mein sama jaaye hamari dhadkan...
itni kurbat hai to faasla itna kyun hai......
dil-e-barbaad se nikla nahi ab tak koi....
ik lutey ghar pe diya karta hai dastak koi.......
aas jo toot gayi fir se bandhata kyun hai.
tum massarat ka kaho ya isey gam ka rishta...
kehte hai pyar ka rishta hai janam ka rishta....
hai janam ka ye rishta to badalta kyun hai......
A question from u all people...!!
Monday, 1 January 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment